"The question isn't who is going to let me,it's who is going to stop me."

Friday, February 09, 2007

Raat Ki Daastan

Raat ki pakad dheeli pad rahi hai aur chaaand bhi ek taraf chala ja raha hai. Akhir wo jaana kahan chahta hai? Shayad wo kahin chhip jana chahata hai. Subah ke aanchal me chhipne ko betaab ye chaand bekhabar hai suraj ke us tez se, jo uska namo nishaan tak mita jaega. Shayad.....andhera hi chaand ka ujala hai. Sab ujale se pyar karte hain, chalo andhere se kisi ko to kinaara mila.
Raat hoti hai to har taraf hoti hai bas khamoshi,sannata aur andhera, sab so rahe hote hain, bas akela chand hi jag raha hota hai. Sundarta aur prem ka paryaay bana ye chaand sari raaat idhar udhar bhatakta hai , talaash hai use apne humsafar ki, lekin wo abhi tak tanha hai. Hamsafar ko khojte khojte subah hoti hai aur chand ko lagta hai ki uska hamsafar use milne wala hai. Ab chaand bahut khush hai lekin ye kya? Chaand ki chamak pheeki kyun pad rahi hai? Kya suraj pe uska itna vishwas karna galat hai? Aur ye kya, suraj ne to pure chaand ko hi nigal liya hai. Jispe itna bharosa kiya usi ne itna bada dhoka diya. Lekin shayad chaand hi galat tha. Usne galat shaks pe vishwas kiya. Usne us cheez ko paane ki koshish ki jo kabhi uski ho hi nahi sakti thi aur hoti bhi kaise, puri raat pagalon ki tarah uska saath dene wale andhere ko jo usne chhod diya tha. Aur dekho ab khud ko hi kho baitha hai ye chaand. Chaand pe agar sabse jyada haq kisi ka hai to wo hai andhere ka lekin... sabhi darte hain andhere se ki kahin wo unhe nigal na le. Andhere ka dard to koi samjh hi na paya. Bechare ne ghut ghut kar dum tod diya aur apne sangharsh me haar gaya. Kya andhere ka kasoor sirf itna hai ki wo khamosh hai,dard lapete hue hai,bilkul tanha hai???
Praveen(IIT Kgp)

No comments: