"The question isn't who is going to let me,it's who is going to stop me."

Wednesday, January 03, 2007

Desires of the heart

5'6" jiski height ho,
Jeans jiski tight ho,
Chehara jiska bright ho,
Weight mein thodi light Ho,
Umar me difference slight ho,
Thodi see wo quiet ho,
Aise apni Wife ho...
Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bhid me sab kahe side ho, side ho...
India ki paidaish ho,
Sas ki seva jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho...
Padosi jab baat kare to haath me knife ho,
Dinner candle light ho,
Dono me na kabhi fight ho,
Milne ke baad dil delight ho,
Hey prabhu teri archana uski life ho.
Yeh kavita padke sab kahe "Guru, tum right ho",
Aisi apni Wife ho...
Kaash yeh concept 0.0001 percent bhi right ho
Agar aisi apni wife hoto kya hasin life ho
Har kisi ki yahi farmaish ho
kudrat ki bhi aajmaish ho
Khudah ke software mein bhi bug ki na gunjaish ho
Ay kaash, kahin to ek aisi paidaish ho
aisi apni wife ho, aisi apni wife ho....

-Anon.

No comments: